kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas khwab the har zamane mein shahadat ke yahi asbab the koh se niche utar kar kankari chunte hain ab ishq mein jo aabju the jang mein sailab the saz o saman the zafar ke par wo shab mein lut gae khak o khun ke darmiyan kuchh khwab kuchh kam-khwab the kya dam-e-rukhsat nazar aate khutut-e-dilbari naqsh the us chand ke lekin ba-shakl-e-ab the main udu ki justuju mein tha ki ek patthar laga mud ke dekha to sinan tane hue ahbab the the bahut nayab wo nur-e-qalam zor-e-bayan shola uttha jab junun ka phir wahi nayab the kya firaq o faiz se lena tha mujh ko ai 'naim' mere aage fikr-o-fan ke kuchh nae aadab the