kohkan-e-shab the raha shaghl sahar hone tak sar patakna isi diwar mein dar hone tak us ki aadat thi mere khun ko pani karna rang kya kya na uda aankh ke tar hone tak ab dawa hai na dua hai na masiha goya har khudai thi mera khun-e-jigar hone tak umr bhar phir se judai ko mohabbat kahna dekhna bhi hai zamane ki nazar hone tak apni aahen hi subuk-gam na hone dengi pa-ba-zanjir chalo khatm-e-safar hone tak shahr ka shahr hua ab to taaqub mein mere tera jadu bhi tha mujh khak-basar hone tak ye to main tha ki tarasha hai har ek zakhm se phul hath kat jate hain nakhun mein hunar hone tak