kyun ju-e-rawan aa ke yun aankhon mein khadi hai lagta hai pahadon pe kahin barf padi hai ai dard kabhi uth bhi sahi tangi-e-dil se muddat se dar-e-dil pe koi yaad khadi hai manzil ko chale ya kisi maqtal ko chale hain har rah yun lagti hai ki zanjir padi hai yunhi to nahin baith gae jhad ke daman mahrumi-e-taqdir se ummid badi hai do din ki mohabbat ne di ye hasti-e-jawed ek pal bhi nahin katti abhi umr padi hai yun hum ne nikali hai teri rah-e-mulaqat yun hijr tere did ki barakat ki ghadi hai har subh teri chashm-e-fusun-saz ka ghamza har sham tere lab se hansi phut padi hai din hai to hai mahka tere rukhsar ka ghaza shab hai to teri mang sitaron se jadi hai