kohsar-e-taghaful ko sada kat rahi hai hairan hun ki patthar ko hawa kat rahi hai peshani-e-sahil pe koi nam na ubhre har mauj samundar ka likha kat rahi hai alfaz ki dharti pe hun mafhum-gazida ab jism pe kaghaz ki qaba kat rahi hai har ruh pas-e-parda-e-tartib-e-anasir na-karda gunahon ki saza kat rahi hai fankar ka khun daman-e-takhliq pe goya taswir musawwir ka gala kat rahi hai mahjub hain maghrur darakhton ki qataren har shakh ko shamshir-e-ana kat rahi hai