ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujh ko zakhm khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko ab koi aae chala jae main khush rahta hun ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko aisa badla hun tere shahr ka pani pi kar jhut bolun to nadamat nahin hoti mujh ko hai amanat mein khayanat so kisi ki khatir koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko tu jo badle teri taswir badal jati hai rang bharne mein suhulat nahin hoti mujh ko aksar auqat main tabir bata deta hun baz auqat ijazat nahin hoti mujh ko itna masruf hun jine ki hawas mein 'shahid' sans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko