koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne

koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne
chale film koi visal ki dil-e-hijr-mand ke samne

ai hunar-wari tere ism chup ye amal ramal ke tilism chup
ye hazar gun se bhare hain kya kisi bhag-wand ke samne

khuli khidkiyon ke flat se zara jhank sham ko road par
tere intizar ki manzilen hain meri kamand ke samne

bade mekh mekh utar bam mere zakhm zakhm pahad mein
koi haisiyat nahin maut ki kisi sar-buland ke samne

kai dat kaam nasib the jise baam baam maash ke
wo minara ret ka dewta tha wo jal-pasand ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close