koi chehra koi mahtab dikhai deta

koi chehra koi mahtab dikhai deta
nind aati to koi khwab dikhai deta

khwahishen khali ghade sar pe utha lai hain
koi dariya koi talab dikhai deta

nisbat-e-husn mera tat ka arzan sa badan
tere paiwand se kamkhab dikhai deta

dubne ko na samundar na koi chashm-e-siyah
aaj to jam mein girdab dikhai deta

phir mere panw tale tur ki mitti hoti
phir mujhe jada-e-asbab dikhai deta

is safedi phiri qabron ke nagar mein mansur
koi to zinda-o-shadab dikhai deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close