koi aaghaz mein anjam bata jata hai aur phir puri kahani ka maza jata hai hum yahi sochte hain raste bhar phul liye ek mulaqat pe kya tohfa diya jata hai ishq jis se ho teri rah taki jati hai hijr jis se ho tujhe yaad kiya jata hai kitne hi ranj hain shikwe hain magar ye bhi hai jis ko jaana ho use jaane diya jata hai hijr ka husn udasi se badhata hun main achchha misra ho to phir sher kaha jata hai meri tanhai mein dale hai khalal chhipkiliyan us ki taswir pe phir dhyan chala jata hai