koi aarzu nahin hai koi muddaa nahin hai tera gham rahe salamat mere dil mein kya nahin hai kahan jam-e-gham ki talkhi kahan zindagi ka darman mujhe wo dawa mili hai jo meri dawa nahin hai tu bachae lakh daman mera phir bhi hai ye dawa tere dil mein main hi main hun koi dusra nahin hai tumhein kah diya sitam-gar ye qusur tha zaban ka mujhe tum muaf kar do mera dil bura nahin hai mujhe dost kahne wale zara dosti nibha de ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai ye udas udas chehre ye hasin hasin tabassum teri anjuman mein shayad koi aaina nahin hai meri aankh ne tujhe bhi ba-khuda 'shakil' paya main samajh raha tha mujh sa koi dusra nahin hai