us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai aaise mein aarzu badi himmat ka kaam hai hum ko bhi chhodta hua aage nikal gaya jazbon ka qafila bhi bada tez-gam hai be-arzu bhi khush hain zamane mein baz log yan aarzu ke sath bhi jina haram hai lafzon ki jaan chhod de mafhum ko pakad warna ye sab muamla tajnis-e-tam hai tauba ke silsile mein bas itna kahenge hum maslak ho baada-noshi to tauba haram hai aaankhon ka hai khayal ki dana hai dam mein aur fikr kah rahi hai ki dane mein dam hai naqqad tum ko puchhte aae the kal 'shuja' kahte the shairon mein tumhaara bhi nam hai