koi aawaz na aahat na khayal aise mein raat mahki hai magar ji hai nidhaal aise mein mere atraf to girti hui diwaren hain saya-e-umr-e-rawan mujh ko sambhaal aise mein jab bhi chadhte hue dariya mein safina utra yaad aaya tere lahje ka kamal aise mein aankh khulti hai to sab khwab bikhar jate hain sochta hun ki bichha dun koi jal aise mein muddaton baad agar samne aae hum tum dhundle dhundle se milenge khad-o-khal aise mein hijr ke phul mein hai dard ki basi khushbu mausam-e-wasl koi taza malal aise mein