un ke jalwe sahar-o-sham tak aa pahunche hain mere aaghaz ab anjam tak aa pahunche hain hazrat-e-khizr pareshan na ho aaram karen hum bhi ab manzil-e-aram tak aa pahunche hain tohmat-e-ishq mein hum aaj akele to nahin wo bhi ab markaz-e-ilzam tak aa pahunche hain mai-kasho muzda-e-masti ki janab-e-waiz badh ke ab tazkira-e-jam tak aa pahunche hain us ko meraj-e-wafa kyun na kahun jab akasr bil-irada wo mere nam tak aa pahunche hain ye mera zabt ki main apni jagah hun mohtat dar-haqiqat mujhe paigham tak aa pahunche hain dekh kar tang-dili bazm mein saqi ki 'safir' rind bhi jurat-e-nakaam tak aa pahunche hain