koi bach nahin pata aisa jal bunte hain kaise kaise qisse ye mah-o-sal bunte hain jaane kitni sadiyon se har baras khizan-rut mein khushk patte dharti par zard shaal bunte hain aaj kal na jaane kyun zehn par tanaw hai tut-phut jata hai jo khayal bunte hain shahr wale pochhenge kuchh sabab jaddai ka ghar ke khali kone bhi kuchh sawal bunte hain hijr ke manazir ko bhulna hi behtar hai pyar ki tanabon se phir visal bunte hain halqa-e-mohabbat mein jo nazir ban jae aao hum wafaon ki wo misal bunte hain ab purani baaton ko kya kuredna 'shahid' bhul kar guzashta ko apna haal bunte hain