zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya bhuk hi mazdur ki khurak ho jaegi kya mere qatil se koi ai kash itna puchh le ye zamin mere lahu se pak ho jaegi kya har taraf uryan-tani ke jashn honge roz o shab is qadar tahzib-e-nau bebak ho jaegi kya badh gaya saya agar qad se to badhne dijiye khak ud kar hamsar-e-aflak ho jaegi kya qaid-e-hasti se ba-mushkil ho saka tha main riha meri mitti kasa-gar ka chaak ho jaegi kya sari duniya dhal rahi hai maghribi tahzib mein be-hayai ab meri poshak ho jaegi kya waqai dariya-e-gham ke tez dhaaron mein 'raza' zindagi meri khas-o-khashak ho jaegi kya