koi bahar se koi andar andar tut jata hai jab insan aata hai gardish ki zad par tut jata hai agar main mit gaya haalat se to is mein hairat kya musalsal chot padti hai to patthar tut jata hai sahar ke waqt jab suraj nikalna chahta hai to falak ki god mein taron ka lashkar tut jata hai nahin hai bad-nasibi ye to is ko kya kaha jae bhala lagta hai jo aankhon ko manzar tut jata hai khushi ka daur aaega liye hain khwab aankhon mein magar kya kijiye ye khwab aksar tut jata hai