koi bashar mujhe aisa nazar nahin aata ki tere kuche se thame jigar nahin aata rafiq wan koi jata hai rahm kha ke agar to phir wo bhul ke rasta idhar nahin aata nahin main qabil-e-lutf-o-karam to ai zalim sitam bhi mujh pe na kar rahm gar nahin aata jamal-e-yar na dekha tha jab tak aata tha aur ab to hashr talak nama-bar nahin aata kahan talak are be-rahm mashq-e-tir-e-sitam nishan-e-gor bhi ab to nazar nahin aata tarah tarah ke sitam mujh pe hote hain zalim jalana ghair ka tujh ko magar nahin aata mariz-e-dard-e-mohabbat ka dil na tod apne nahin to munh se na kar tu agar nahin aata milaya khak mein aur us pe kahte hain ki mujhe kuchh imtihan mohabbat ka kar nahin aata hua hun be-khudi-e-ishq se yahan tak mahw ki yar samne hai aur nazar nahin aata masih hai pe jilana mera nahin manzur mere janaza pe wo jaan kar nahin aata hua hai haal 'haya' ka ye hijr mein tere ki ab to sans bhi do-do pahar nahin aata