kya tu ne mujh ko ai falak-e-fitna-gar diya mashuq ek diya tha so apna sa kar diya kya shikwa aah-e-garm-o-dam-e-sard se karun jo kuchh diya khuda ne mujhe be-asar diya sau bar ro ke khali kiya dil ko hijr mein shauq-e-visal-e-yar ne sau bar bhar diya wan shauq-e-zulm-o-jaur hai yan khwahish-e-sitam donon ko ek sa hai khuda ne jigar diya lag jae dil ko aag ki apni tarah mujhe betab-o-be-tahammul o be-sabr kar diya jalta nahin hai hae khudaya dil-e-raqib kaisa ye tu ne hai nafas-e-shoala-war diya dil ye hai koi ek bala ka bana hua bigdi jo yar se to mujhe aage dhar diya ai chashm tu ne qahr kiya zabt kar ke ashk zakhm-e-jigar mein aur namak le ke bhar diya koi na jaanta tha jahan mein 'haya' mujhe aashiq buton ki chah ne mashhur kar diya