koi bhi dar se zinda nahin utarta hai magar junun hamara nahin utarta hai tabah kar diya ahbab ko siyasat ne magar makan se jhanda nahin utarta hai main apne dil ke ujadne ki baat kis se kahun koi mizaj pe pura nahin utarta hai kabhi qamiz ke aadhe button lagate the aur ab badan se labaada nahin utarta hai musalahat ke bahut raste hain duniya mein magar salib se isa nahin utarta hai juariyon ka muqaddar kharab hai shayad jo chahiye wahi patta nahin utarta hai