mujhe jalwon ki uske tamiz ho kya mere hosh-o-hawas bacha hi nahin

mujhe jalwon ki us ke tamiz ho kya mere hosh-o-hawas bacha hi nahin
hai ye be-khabari ki khabar hi nahin wo naqab utha ki utha hi nahin

mere haal pe chhod tabib mujhe ki azab hai meri zist mujhe
mera marna hi mere liye hai shifa mere dard ki koi dawa hi nahin

use dhundte dhundte kho gae hamein hua kiya aur kya ho gae hum
hamein pahron tak apni khabar hi nahin hamein koson tak apna pata hi nahin

mera haal kharab suna to kaha ki wo samne mere na aae kabhi
mujhe rote jo dekha to hans ke kaha ki ye shewa-e-ahl-e-wafa hi nahin

jahan koi sitam ijad kiya mujhe kah ke falak ne ye yaad kiya
ki bas ek dil-e-'bedam' ke siwa koi qabil-e-mashq-e-jafa hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close