koi bhi lafz-e-ibrat-ashna main padh nahin sakta basirat ko na-jaane kya hua main padh nahin sakta samundar ne hawa ke nam ek khat reg-e-sahil par kisi murda zaban mein likh diya main padh nahin sakta ye insanon ke mathe to nahin katbe hain qabron ke har ek chehre pe us ka marsiya main padh nahin sakta zamin o aasman suraj sitare chand sayyare kitab-e-daera-dar-daera main padh nahin sakta