koi bhula hua yaad aa raha hai gham-e-derina khae ja raha hai hazaron zawiye badle nazar ne zamana mustaqil bal kha raha hai talluq kuchh nahin jis khub-ru se rag-e-jaan mein wo basta ja raha hai khayalon ki munderon par wo aa kar bala ki chandni barsa raha hai nazar manzar mein jis ko dhundhti thi wo dil ki anjuman mein aa raha hai jise ahl-e-junun kahte hain 'mani' tadap kar sab ko wo tadpa raha hai