qadam qadam pe ajab hadsat-e-gham guzre jahan jahan se teri justuju mein hum guzre gham-e-hayat ko le kar jidhar se hum guzre hujum-e-hadisa-e-nau-ba-nau baham guzre na ras aae meri zindagi mujhe ai dost kabhi garan jo mere dil pe tera gham guzre qadam qadam pe hua imtihan-e-hosh-o-khirad khuda ka shukr ki daman bacha ke hum guzre nazar mein raqs-kunan hai tasawwur-e-rukh-e-dost ye kah do baad-e-saba se dabe qadam guzre jabin jhuke to simat aae aastan-e-habib wo sajda kya jo ba-qaid-e-dar-e-haram guzre mili jahan se mata-e-khushi zamane ko hum us maqam se 'mahir' ba-chashm-e-nam guzre