koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga

koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga
kisi se to ki hogi tum ne mohabbat kisi ko gale se lagaya to hoga

labon se mohabbat ka jadu jaga ke bhari bazm mein sab se nazren bacha ke
nigahon ke raste se dil mein sama ke kisi ne tumhein bhi churaya to hoga

tumhaare khayalon ki angnaiyon mein meri yaad ke phul mahke to honge
kabhi apni aankhon ke kajal se tum ne mera nam likh kar mitaya to hoga

kabhi aaine se nigahen mila kar jo li hogi bharpur angdai tu ne
to ghabra ke khud teri angdaiyon ne tere husn ko gudgudaya to hoga

nigahon mein sham-e-tamanna jala kar taki hongi tum ne bhi rahen kisi ki
kisi ne to wada kiya hoga tum se kisi ne to tum ko rulaya to hoga

juda ho gaya hoga jab koi tum se diya hoga jab tum ko dhoka kisi ne
hamari wafa yaad aai to hogi hamein apne nazdik paya to hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close