kab kaha main ne ki tum chahne walon mein raho tum ghazal ho to ghazal ban ke khayalon mein raho husn aisa hai tumhaara ki nahin jis ka jawab is liye jaan-e-wafa tum to sawalon mein raho chhup gaya chand andhera hai bhari mahfil mein tum mere dil mein utar jao ujalon mein raho apni khushbu ko fazaon mein bikhar jaane do phul ban jao mahakte hue baalon mein raho aane jaane ki kahin tum ko zarurat kya hai shahr-e-khuban mein raho mast ghazalon mein raho umr-bhar ke liye ho jao kisi ke 'akhtar' ishq aisa karo duniya ki misalon mein raho