koi dam bhi main kab andar raha hun liye hain sans aur bahar raha hun dhuen mein sans hain sanson mein pal hain main raushan-dan tak bas mar raha hun fana har dam mujhe ginti rahi hai main ek dam ka tha aur din bhar raha hun zara ek sans roka to laga yun ki itni der apne ghar raha hun ba-juz apne mayassar hai mujhe kya so khud se apni jeben bhar raha hun hamesha zakhm pahunche hain mujhi ko hamesha main pas-e-lashkar raha hun lita de nind ke bistar pe ai raat main din bhar apni palkon par raha hun