zamin se ta-ba-falak dhund ki khudai hai hawa-e-shahr-e-junun kya payam lai hai piya hai zahr bhi aab-e-hayat bhi lekin kisi ne tishnagi-e-jism-o-jaan bujhai hai ye koi zid hai ki hai rasm-e-ashiqi hi yahi hawa ke rukh pe jo sham-e-wafa jalai hai ye kam nahin ki taraf-dar hain mere kuchh log hunar ki warna yahan kis ne dad pai hai musafiran-e-rah-e-shauq aur tez qadam ki chand gam hi ab manzil-e-judai hai