koi dam thamta nahin baran-e-ashk al-aman az chashm-e-pur tufan-e-ashk kis lab-e-mai-gun ki khwahish hai mudam josh-zan hai ye mai-e-joshan-e-ashk shor nalon ka mere sun dam-ba-dam sahmgin hain yak-qalam tiflan-e-ashk kashti-e-gardun yaqin hai dub jae badh chala hai bahr-e-be-payan-e-ashk shauq mein us silk-dandan ki mudam hain nikalte ye durr-e-ghaltan-e-ashk jal ke hota khak soz-e-dil se tan gar na karti aankh ye saman-e-ashk faiz se khun-e-dil-e-majruh ki rashk-e-gulshan ho gaya daman-e-ashk dho gaya khatir se jaanan ki ghubar jaan par meri hai ye ehsan-e-ashk hun main giryan ishq-e-khadim-shah main is liye 'asim' hun main nazan-e-ashk