rangin khwab aas ke naqshe jala bhi de jaan pe bani hai raushni is ko bujha bhi de namus-e-zabt bojh hai kab tak liye phirun sari umiden chhin ke mujh ko rula bhi de pahuncha hai kis ki khoj mein hadd-e-zawal tak gum ho gaya hai kaun tu us ka pata bhi de bechaargi ki raat ke ghaar-e-siyah se qaid-e-sukut tod ke koi sada bhi de har aaine pe waqt ki ungli ke dagh hain mit jo saken ye dagh to in ko mita bhi de is dasht-e-be-giyah mein majbur hun khada manzil ka kuchh nishan de rasta bata bhi de jis pe ruton ke hath ki tahrir hai likhi 'fikri' wo apne jism ki diwar dha bhi de