koi dara-e-jaan hai kya malum ya faqat dastan hai kya malum kya hudud-e-yaqin mein hai khallaq ya sarasar guman hai kya malum aarzu thi khuda ko ya hajat kyun wajud-e-jahan hai kya malum lahw ya khud mein naqs ka ehsas illat-e-ins-o-jaan hai kya malum iztiraran ki baad-e-fikr-e-daqiq khilat-e-in-o-an hai kya malum kis liye kis taraf bahar saat rakhsh-e-hasti dawan hai kya malum kis khala-e-nazar ke bharne ko ye zamin aasman hai kya malum hai kahin aaftab-e-zat-o-sifat ya shua-e-bayan hai kya malum kuchh nahin hai ba-juz fareb yahan aur sab kuchh wahan hai kya malum kis liye aql ke safine mein naql ka baadban hai kya malum chaplusi mein kis liye mashghul khail-e-karrubiyan hai kya malum malgajahat si hai sar-e-gardun abr hai ya dhuan hai kya malum wo tawanai hai ki shakhsiyyat kaun shah-e-zaman hai kya malum ban ke pichhe hai ek khafi halchal gard-e-pa karwan hai kya malum shar hai kyun is qadar lahim-o-shahim khair kyun nim-jaan hai kya malum shaitanat kyun hai rashk-e-mah-e-munir kyun risalat katan hai kya malum kaun said-e-gunah hai amdan kyun jahannum tapan hai kya malum kya hawadis ba-taur-e-mashghala hain ya sar-e-imtihan hai kya malum aur kyun imtihan ke chakkar mein aalim-o-ghaib-dan hai kya malum kaun in faqa-kash gharibon ka zamin-e-ab-o-nan hai kya malum aankhen labrez hain subu khali kaun pir-e-mughan hai kya malum sikka-e-maut shahr-e-hasti mein kis khata par rawan hai kya malum nafs-e-ammara bakhshne wala hum se kyun sar-garan hai kya malum kyun hamari zamin par har aan karbala ka saman hai kya malum is buri tarah munh se kyun bahar aadmi ki zaban hai kya malum 'josh' nur-e-khuda pe kyun hawi rang-e-ru-e-butan hai kya malum