gardan mein hain wo bahen gardish mein hain paimane kya din hai kya duniya shair ki bala jaane kuchh sikh saken shayad aabaadiyan shahron se ai rah-rawo thahro kuchh kahte hain virane mutrib wo uthe parde saqi wo khule uqde han yun hi damadam de paimanon pe paimane hum ishq se kya waqif waqif hain to sirf itna aaghaz halakat hai anjam khuda jaane jo ghuncha-o-shabnam the kal raat ke honton par ab subh ke kanon par nashtar hain wo afsane ai 'josh' ulajhta hai kyon shaikh-e-subuk-sar se wo ishq ko kya samjhe wo husn ko kya jaane