koi dard hai jo abhi dawa nahin ho saka wo bichhad gaya hai magar juda nahin ho saka koi hai khalish jo khatak rahi hai abhi mujhe koi sher hai jo abhi bapa nahin ho saka wo mile agar to use kahun ai gulab shakhs koi tujh sa kya teri khak-e-pa nahin ho saka tere baad phir meri mausamon se bani nahin tere baad main kabhi phir hara nahin ho saka sar-e-bazm hain yahi tazkire ki bura hun main mera jurm hai ki main bewafa nahin ho saka isi baat par meri doston se hai dushmani main amir-e-shahr ka ham-nawa nahin ho saka kisi aur shab main sunaunga ye ghazal tumhein abhi aankh nam abhi dil dua nahin ho saka tere ishq mein koi jaan bhi le to bhi jaan-e-jaan main yahi kahunga ki haq ada nahin ho saka