aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai nadani-e-ulfat kar baithe is baat pe rona aata hai har sans hai ek talwar bani har nafs hai gham ka paimana karte hain mohabbat jo un ko kanton pe bhi sona aata hai ab dil ko hai samjhana mushkil jo tut gaya so tut gaya kya baat banegi hansne se hanste hain to rona aata hai bakhshe hain tu ne lakh sitam gham mujh ko diye hain tera karam hum ko bhi ghamon ke tiron ko sine mein chubhona aata hai bahte hue ashko ruk jao arman ke dhaaro tham jao dekho to tasawwur mein mere sajan wo salona aata hai