koi din ka aab-o-dana aur hai phir chaman aur aashiyana aur hai han dil-e-be-tab chande intizar amn-o-rahat ka thikana aur hai shama phiki raat kam mahfil udas ab mughanni ka tarana aur hai ai jawani tu kahani ho gai hum nahin wo ya zamana aur hai jis ko jaan-e-zindagani kah saken wo hayat-e-jawedana aur hai jis ko sun kar zohra-e-sang aab ho aah wo ghamgin fasana aur hai wa agar sama-e-raza ho to kahun ek pand-e-mushfiqana aur hai ittifaqi hai yahan ka irtibaat sab hain begane yagana aur hai