kuja hasti bata de tu kahan hai jise kahte hain bismil nim-jaan hai hamara ghar hai yani khana-e-mast mahal hi kakh hai koshak makan hai chacha am hai pisar beta pidar bap to kumba khanuman-o-dudaman hai safina naw kashti ban mallah bahe pani to wo aab-e-rawan hai batao aag kya hai nar-o-atish dhuan kya chiz hai do-dud-o-khan hai jise kahte ho tum gardun-e-gardan falak charkh-o-siphar-o-asman hai wahi jannat ki jis ki aarzu hai naim-o-khuld-o-firdaus-o-jinan hai suna kijiye hikayat hai kahani kaha kijiye fasana dastan hai mera sar ras hai matha jabin hai mere munh mein zaban hai jo lisan hai kaho tum jo taraazu hai so mizan suno tum aazmaish imtihan hai hajar patthar hai aur qirtas kaghaz subuk halka hai aur bhaari giran hai asa lathi alam neza sinan bhaal jise hum qaus kahte hain kaman hai nihan-o-musatatar poshida makhfi jo bariz hai to zahir hai ayan hai agar jaano ho tum rewad ko galla to charwaha bhi rai aur shaban hai kaha karte hain shair ko sukhan-dan jo bhedi hai to mahram raazdan hai humanja aamdam jae ki hasti wahin aaya hun main bhi tu jahan hai yahi kaun-o-makan duniya hai aalam ye hi geti hi gihan hai jahan hai