koi diwana ek ik gam pe manzil mange

koi diwana ek ek gam pe manzil mange
zarre zarre se ayan jalwa-e-mahmil mange

kashti-e-dil meri tufan se sahil mange
zindagi karne ko har kaam wo mushkil mange

hai karam tera ki bakhshi hai mujhe chashm-e-khirad
sham-e-ulfat bhi ilahi ye mera dil mange

dil ki jalta hai teri yaad mein manind-e-charagh
rashk-e-firdaus-e-barin phir wahi mahfil mange

husn ko ghaza-o-araish-e-kakul chahe
aaina-saz bhi aaina muqabil mange

husn betab hai khud jalwa-numai ke liye
chashm-e-pur-shauq wo ai dil sar-e-mahfil mange

jaan-nisari meri be-misl hai lekin phir bhi
ishq ki mujh se nishani mera qatil mange

aaj duniya mein mohabbat ka kahin nam nahin
koi batlae ki kya aur mera dil mange

ishq ki rah ho tai yunhi 'payami' ki raqib
tere har naqsh-e-kaf-e-pa se wo manzil mange


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close