khud dard hi ko dard ka darman bana diya main ne gham-e-hayat ko aasan bana diya kaam aaya un ka gham bhi gham-e-rozgar bhi donon ne mil ke mujh ko ghazal-khwan bana diya mujh ko dayar-e-shauq se jitne bhi gham mile un sab ko apni zist ka saman bana diya wahshat tapak rahi hai dar-o-baam o saqf se wo kya gae ki ghar ko bayaban bana diya sharminda aap hon na kahin is khayal se ek ek zakhm ko gul-e-khandan bana diya chashm-e-karam kisi ki badi chaara-saz thi zarra tha 'taj' mahr-e-darakhshan bana diya