koi diwar na dar khulta hai par mera azm-e-safar khulta hai badi mushkil se wo dar khulta hai ye alag baat magar khulta hai hum hi diwane bane phirte hain kab tera zauq-e-nazar khulta hai man to ro leti hai lekin yaro kab yahan koi pidar khulta hai parda-e-ishq hai lazim warna main idhar aur wo udhar khulta hai sher-dar-sher kahe jate hain tab kahin ja ke hunar khulta hai mere nazdik wo 'abdul-qadir' pura khul jata hai gar khulta hai