sar mein sauda koi baqi na junun hai yun hai

sar mein sauda koi baqi na junun hai yun hai
ab to aaram hai rahat hain sukun hai yun hai

us se milne ke bahane to bahut hain lekin
us se milna mere pindar ka khun hai yun hai

naseha tujh ko khabar sab hai mohabbat kya hai
warna yunhi nahin samjha tha ki yun hai yun hai

hum hain muhtaj har ek kaam ke karne mein yahan
rab ka har kaam faqat kun-fayakun hai yun hai

kitni raghbat thi teri yaad se pahle mujh ko
aur teri yaad bhi ab kar-zabun hai yun hai

phir wahi kal ki tarah der se ghar aaoge
phir wahi uzr bataoge ki yun hai yun hai

pahle kuchh baat bhi ho jati thi us se 'qadir'
aur ab us se meri han hai na hun hai yun hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close