koi do-chaar nahin mahw-e-tamasha sab hain

koi do-chaar nahin mahw-e-tamasha sab hain
mere ehsas ki aawaz pe zinda sab hain

koi jugnu koi tara koi suraj koi chand
aur ajab baat ki mahrum-e-ujala sab hain

us jagah bhi na hui dard ki lazzat mahsus
main samajhta tha jahan mere shanasa sab hain

yusuf-e-waqt pareshan na hote kyunkar
koi ungli na kati aur zulekha sab hain

arsa-e-hashr ki taswir ajab hai 'amjad'
be-karan bhid hai aur bhid mein tanha sab hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close