hai sara lams ka fitna hawas pagal hain khuda ka shukr ki chehra-shanas pagal hain tumhaare shahr mein pagal wo hain jo hanste hain hamare shahr mein sare udas pagal hain wo mujh mein pani piyegi nahin nahin mujh mein jhagad rahe hain musalsal gilas pagal hain shuur wale hi goli chalana jaante hain main mutmain hun mere aas-pas pagal hain mujhe samajhne ki manzil hai muntazir un ki yaqini baat hai pagal ki aas pagal hain main un se puchhunga jannat hain bechte kaise mujhe nawaz agar tere pas pagal hain wo apni sadiyon ko tishna-dahan banae gae bujha rahe hain jo lamhon ki pyas pagal hain hamari waqt se banti to kis tarah banti mizaj-e-waqt ko aate hi ras pagal hain tumhaare baad siyanon ka haal kya hoga tumhaare baad yahan par udas pagal hain libas walon se badh kar haya hai aankhon mein hamari aankhon mein kuchh be-libas pagal hain tujhe sataenge jab tak teri raza hogi hum har tarah se tabiat-shanas pagal hain tumhaare ahd ke sau se hain mohtaram 'kazim' hamare ahd mein jo ki pachas pagal hain