koi ehsas mukammal nahin rahne deta dard ka sath musalsal nahin rahne deta hosh ki sard nigahon se take jata hai kaun hai jo mujhe pagal nahin rahne deta waqt tufan-e-bala-khez ke gardab mein hai sar pe mere mera aanchal nahin rahne deta hath phailaun to chhu leta hai jhonke ki tarah ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne deta khwab ke taq pe rakkhi hain ye aankhen kab se wo meri nind mukammal nahin rahne deta mere is shahr mein ek aaina aisa hai ki jo mujh ko us shakhs se ojhal nahin rahne deta