koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum

koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum
ki sach ho kitna bhi kadwa nahin badalte hum

kisi gali se ye rishta nahin badalte hum
tumhaare baad bhi rasta nahin badalte hum

khuli kitab ke jaisi hai zindagi apni
kisi ke samne chehra nahin badalte hum

lahuluhan hon nazren ya ruh ho zakhmi
hamari aankhon ka sapna nahin badalte hum

tamam umr hi ab kyun na khatm ho jae
tumhaare pyar ka qissa nahin badalte hum

jo jaisa hai use waisa hi hum ne chaha hai
mohabbaton mein ye sikka nahin badalte hum

wafa ki rah ke pakke hain hum musafir bhi
milen na manzilen rasta nahin badalte hum

kisi kner ke phulon se surkh honth us ke
gulon se aaj bhi rishta nahin badalte hum

tamam shaklen hamein ek jaisi lagti hain
kisi ke waste chashma nahin badalte hum

kata-phata hi sahi hai ye pairahan sach ka
nae libas se kapda nahin badalte hum

ye gul-mohar ki hain shakhen kisi ki yaad liye
kisi ki yaad ka chehra nahin badalte hum

kabhi yahin pe hi aa kar wo baith jati thi
isi liye to ye kamra nahin badalte hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close