ladakpan ki hasin dilkash dagar ka hamara pyar tha pahli nazar ka sabab wo sham ka wo hi sahar ka bharosa kya karen aisi nazar ka siwa mere dikhe hain aib sab ke bada dhoka raha meri nazar ka teri bas khushbuen rakh din hawa par pata likkha nahin tere nagar ka