koi gulab yahan par khila ke dekhte hain chalo kharaba-e-jaan ko saja ke dekhte hain jahan ko bhul ke tum ko bhula ke dekhte hain ab apne aap ko dil se laga ke dekhte hain bigad gae the jise sun ke waqt ke tewar jahan ko baat wahi phir suna ke dekhte hain kabhi kisi ka bhi ehsan nahin liya hum ne ab apne sar pe ye ehsan utha ke dekhte hain bahut dinon se koi baat kaam ki na hui chalo falak ko zamin par bichha ke dekhte hain nazar nazar to kai bar padh chuke us ko ghazal ko aaj zara gunguna ke dekhte hain zamana hum pe bahut der hans chuka 'aslam' chalo ab us ki hansi bhi uda ke dekhte hain