ham-sae mein shaitan bhi rahta hai khuda bhi jannat bhi mayassar hai jahannam ki hawa bhi ye shahr to lagta hai kabadi ki dukan hai khota bhi isi mol mein bikta hai khara bhi is jism ko bhi chat gai sans ki dimak main ne use dekha tha kisi waqt hara bhi jaise kabhi pahle bhi main guzra hun yahan se manus hai is rah se meri laghzish-e-pa bhi is dasht ko pahchan rahi hain meri aankhen dekha hua lagta hai ye an-dekha hua bhi tum bhi to kisi baat pe raazi nahin hote tabdil nahin hota muqaddar ka likha bhi ab faisla-kun mod pe aa pahuncha mera ishq dariya bhi hai maujud yahan kachcha ghada bhi mumkin hai mein is bar bhatak jaun safar mein is bar mere sath hawa bhi hai diya bhi ye shahr farishton se bhara rahta hai 'ami' is shahr pe ek khas inayat hai saza bhi