koi hasin hai mukhtar-e-kar-khana-e-ishq ki la-makan hi ki chaukhat hai aastana-e-ishq nigahen dhundh rahi hain dil-e-yagana-e-ishq ishaare puchh rahe hain kahan hai khana-e-ishq phirenge hashr mein gard-e-dil-e-yagana-e-ishq karenge pesh-e-khuda hum tawaf-e-khana-e-ishq nai sada ho nae honth hon naya lahja nai zaban se kahun gar kahun fasana-e-ishq jo maulwi hain wo likkhenge kufr ke fatwe sunaun surat-e-mansur agar tarana-e-ishq agar lage to lage chot mere nale ki agar pade to pade dil pe taziyana-e-ishq jo dal den use patthar pe bhi phale-phule darakht-e-tur bane sabz ho ke dana-e-ishq tumhin kaho jo luta den to kaun khali ho khazana husn ka afzun hai ya khazana-e-ishq wo raat aae ki sar tera le ke bazu par tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq wo dar tak aate nahin dar se hum nahin uthte udhar bahana-e-husn aur idhar bahana-e-ishq sikhai kis ne ye raftar mere nale ko kamar ki tarah lachakta hai taziyana-e-ishq kisi ko pyar karega shabab mein tu bhi tere bhi ghar mein jalega charagh-e-khana-e-ishq jo khush-nawis mile koi denge dil apna hum is kitab mein likhwaenge fasana-e-ishq gae hain wo meri mahfil mein bhul kar rumal ye ja-namaz bichha kar padhun dogana-e-ishq kisi ke husn ne kafir bana diya 'mail' laga ke qashqa-e-durd-e-sharab-khana-e-ishq