aashiyan apna bina diwar-o-dar hota nahin be-murawwat kash ye tera shahar hota nahin kyun pasheman ho ke tum ne dard-e-dil mujh ko diya har gunah sangin aisa jaan kar hota nahin aap ka tha sath to thi zindagi par kya kahen ab safar aisa hai jis mein ham-safar hota nahin hai ghazab dhata ajab ye kar-o-bar-e-intizar raat guzre tare gin, par din basar hota nahin aae hain sunte ki aisa waqt bhi aata hai jab ho dawa ya phir dua kuchh kargar hota nahin duniya se lad jaiye aasan hai kahna huzur dekhiye har shakhs mein itna jigar hota nahin