koi ilzam mere nam mere sar nahin aaya wo jo tufan andar tha mere bahar nahin aaya ye kis ki did ne aankhon ko bhar dala khala se yun ki phir aankhon mein koi dusra manzar nahin aaya junun-bardar koi ru-e-sahra par nahin dekha kanar-e-abju pyasa koi lashkar nahin aaya hui barish darakhton ne badan se gard sab jhadi koi sawan koi mausam mere andar nahin aaya kahin pathra gai aankhen kahin shal hauslon ke panw kahin rah-rau nahin pahuncha kahin par ghar nahin aaya kabhi kashti pe koi baadban main ne nahin rakkha udanon ke liye meri koi shahpar nahin aaya nahin ho kar bhi hai har sans mein shamil muqabil bhi magar zi-hosh kahte hain koi ja kar nahin aaya