koi ishq mein jal gaya tur ho kar chadha dar par koi mansur ho kar sarapa qarabat bana ja raha hun tere jam-e-furqat mein makhmur ho kar yahan ek surat hai naghma-o-ah ki jo nikla hai hasrat se mamur ho kar tasawwur mein aana tasawwur mein jaana wo nazdik aae bahut dur ho kar fasana-e-dil puchhne ko na aae raha dil ka dil mein hi mastur ho kar uthe aa rahe hain nigahon ke saghar kahin pi na jaun main majbur ho kar bana ja raha hun gunahgar ab 'prem' teri rahmaton se bahut dur ho kar