nigah-e-zard mein rang-e-khumar kya kahna khizan ke daur mein fasl-e-bahaar kya kahna samajh saka na koi juz mere sir-e-mahfil faqir ishaare ko ai chashm-e-yar kya kahna mila hai lutf-e-gham-e-intizar jo hum ko tere karam ka ai ghaflat-shiar kya kahna har ek zarre pe tera guman hota hai nazar mein raqsan hai taswir-e-yar kya kahna tere nishane ki tarif kya karun zalim sinan hue hain jigar hi ke pas kya kahna mujhe mita ke jahan-e-sitam se ai zalim hui hai chashm teri ashk-bar kya kahna kisi ki chah mein khud ko mita liya ai 'prem' kitab-e-ishq ka ye ikhtisar kya kahna